Posts

Showing posts from May, 2018

Kyu nahi jee paati..

Kyu woh khanjar baar baar chubhaya.. Kya ek bar kaafi na thi. Kya yehi saza thi koshish krne ki itni dafa.. Kyu ab tak umeed baki thi.. Kyu ab bhi woh dard ka ehsaas aaya.. Jab chot gehri hi na thi.. Kya yehi khushi ke kuch palon ki kimat hai.. Kyu itni saza kaafi na thi.. Kyu ab bhi aankhe bhar jati.. Jab intezar karte karte thhak jati thi.. Kya yeh hi hota Naseeb hai.. Kyu phir himmat laut aati thi.. Kyu tanhaiya darrati hai mujhe.. Sach hi toh dikhati wah thi.. Kya apne khawab itne the bure.. Kyu nahi jee paati jo thi..

Woh boond boond...

Woh boond boond ko tapakta dekh hi barsat maan liya.. Woh jhoothe isharo ko hi sachcha maan liya.. Kya krte intezar aur das saal.. Itna hi naseeb mein hai sawan woh jaan liya... Woh thandi hawa do pal jo chali.. Woh ped k shakhayon k pattiya se jo hilli.. Kya gire isme kuch phool bhi daal se.. Itna jhooka nhn seh paenge yeh jo unhone maan liya.. Woh kadam jo dekhe the badte hue.. Woh ahate jo sunni thi jo thami nhn.. Kyu na maanta dil phir se iss baar.. Itna toh kar liya tha in palon k intezar. Woh aake yu palat gye hamesha k tarah.. Woh raaste humne toh khule rakhe the jis tarah.. Kyu phir bhi sab wapis dhundla sa gaya.. Itna hi tha bas naseeb mein samajh aa gya.. Tabhi dekha pedo ko katate hue aur badlon ko phat te hue.. Woh boond boond aur do pal ke jhoonke hi bha gye.. Kyuki na seh sakte the usse zyada aur.. Itna hi bahut tha jitna mila.. Par hoti hai halki rimjhim barish bhi.. Halki si sunheri dhoop ke saath.. Indradhanush bhi nikal ke aata hai.. ...

Kab se tha yeh pata

Gila nhn kisi se.. Thi hi nhn kisi aur ki khata.. Yeh toh mera hi kasoor tha.. Kab se tha yeh pta.. Phir bhi har baar dhund leta hai dil koi wajah.. Ki yeh usne kaha tha aur woh usne di thi saza.. Bas khud se hi kuch shilayatein baki reh gyi hai.. Unhe hi door krna chahti hu main.. Tujhse toh mohabbat jaisi Maine hi ki thi.. Mujhse na kar paya toh koi nhn.. Aane k tumhare gham nhn mujhe.. Par mere jane pe bhi dil nhn toote.. Haan tujhse hone lage ab shikwe.. Warna khud se kaise hogi mohabbat mujhe.. Ab wapis khud k pas rehna hai.. Nhn tumse kuch bhi aur kehna hai.. Koshish iss baar puri rahegi ki bin tere hi khush rahu.. Phir se unhi jazbaton mein na bahu.. Bhataki toh hui hu iss baar bhi main.. Shayad aise hi mil jaye phir se kinara.. Par kinara pe hi toh khadi hu main Toh jana kyu hai wapis darya mein hai.. Nhn hai woh waha jo hai yaha.. Yeh yaad dila le khud ko haa.. Yeh kinara Na kho jaye iss baar.. Jee le yehi bhale ho chuki hai teri haar.. Tha...

The snowflake

I sat near the window.. Looking down at the snow and rain.. Does a snowflake has a identity of it's own.. came to my brain.. They originate from the same cloud.. Fall together on the same ground.. Still each maintains their unique strength.. Until they are found.. What if a snowflake started asking Where am I headed to And the others tried to show the path but in vain They touched the ground as the wind blew.. The tiny snowflake was taken afar It resisted the blow while others did not It was about to touch my window sill When I stretched my arm and it could not It sparkled in my palm before it melted The beauty it possessed surpassed my senses A sound came as it fell down to the window sill I got what I wanted but myself I lost Unaware that it had to turn into water it had taken the leap. Had it known it would share others' fate It wouldn't have dared to resist But it dared to believe That it was extraordinary Had it held on to that b...